Noha

Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata
Kya hua kunba mera, shaam e gareebaN bata

Qasim e Nausha ki laash ke tukde huey
Kaisa yeh sehra bandha, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Kyon yeh har aik aakh se khoon ke aasooN gire
Kaise hai gham ki ghata, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Aabid e Beemar par, Shah ke ghamkhaar par
Kyun hai yeh zor o Jafa, shaam e gareebaN b ata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Pyaas mein Asghar mera Reit par tadpa kiya
Pani kya usko mila, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Kaise yeh aaye hai shaam, khauf har eik soo hai aam
Aur irada hai kya, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Aun o Mohammad mere, Ganj e Shaheeda mein thay
Dono ka hai haal kya, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Khaimon se jalte huey, maut ke sholay uthey
Kya koi zinda bacha, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Haye yateemoN ke Saath, aur aseeroN ke sath
Hai yehi insaaf kya, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Woh mera Ajbar jawan, mar gaya kha kar sina
Laasha kya uska utha, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Sarwar e zeeshan ke zakhm bahhatar lage
Hai yehi Karbobala, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Bhai bhi palta nahin, Paani bhi aaya nahin
Kya hua Ghaazi mera, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Haaye Garoh e Hussain Padti hai Zainab ke bain
Kyon na ho Ghamgeen Raza, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Kya hua kunba mera, shaam e gareebaN bata
Bain yeh zainab ka tha, shaam e gareebaN bata

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *