Noha

Baap ke gham may kehtin hain rokar Zainab aur Kulsoom
Sunke nida e ghaibi hain muztar Zainab aur Kulsoom
Baap ke gham may kehtin hain rokar Zainab aur Kulsoom

Ghar may Khuda ke sajdae haq may zarb laeen ne kaari lagaai
Paa ke khabar na royen kyon-kar Zainab aur Kulsoom
Baap ke gham may kehtin hain rokar Zainab aur Kulsoom

Aayi sehar unnees ki kaisi jisne qayamat ham par dhaayi
Naala kuna hai kehke ye dukhtar Zainab aur Kulsoom
Baap ke gham may kehtin hain rokar Zainab aur Kulsoom

Eik hamare zakhm e sar ko dekh ke apni jaan khoti ho
Dekho gi kaise zakhm e Biradar Zainab aur Kulsoom
Baap ke gham may kehtin hain rokar Zainab aur Kulsoom

Karbobala may ro na sakogi bole Ali khud ashq baha kar
Karlo buka ab tum jee bhar kar Zainab aur kulsoom
Baap ke gham may kehtin hain rokar Zainab aur Kulsoom

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *