Noha

Asre ashoor hai, aap ka Shah ka
Zere khanjar gala, Khuld se Mustafa
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Baade Shabbir hain Saaniye qafila,
Dasht mein berida, khuld se Mustafa
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Zulm had se badha, khema khema jala
Sar chipayein kaha berida Bibiyan,
rota hai Aasmaan
Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda

Kya qayamat hai ye, noke naiza pe hai
Farse Shahe Huda, khuld se Mustafa,
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Muztarib hai Bahen, khatm hain Panjtan
Aasma gir pada, aa gaya zalzala,
rotiN haiN Fatima
Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda

Garm reti pa hai lab pa takiya kiye,
Apka ladka, khuld se Mustafa
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Kab wo anjaan thay, sab musalman thay
Sabr ki daasta kis tarah ho bayaa,
ruk rahi hai zabaa
Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda

Paani maanga kiye aur tadpa kiye
Shah e Karbobala, khuld se Mustafa,
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Asre Aashoor tha, dushmano ke tale
Saf se aage badhe, Sheh ko ghere rahe,
teer o khanjar chale
Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda

Dasht ki khaak par jisme Shabbir se
Khoon bahta raha, khuld se Mustafa
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Zulm dekha kare, kis se Zainab kahe
Dilbar e Murtuza, Bhai Shabbir ka,
nahar par so raha
Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda

Har taraf hai dhuan, Aapka ghar jala
Shola bhadka kiya, khuld se Mustafa
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Koi Yawar nahi jal raha hai makaan
Uth raha hai dhuan, Jaayen raandeN kahan,
hashr ka hai samaa
Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda

RotiN hain bibiyan, lasha Abbas ka
Nahar par hai pada, Khuld se Mustafa
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Gham ki hai inteha, roti hai Karbala
Haal e Beemar par, Bibiyan nauhagar,
Naiza-naiza hain Sar
Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda

Janib e Shaam ab ek rasan mein bandha
Jaata hai qafila, Khuld se Mustafa,
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

Kaise Mahir* bayaa, gham ki ho daastaan
Berida hain Haram, sabki ankhen hain nam,
gardane sabki kham
Ya Rasule khuda, Ya Rasule khuda

Lab par Zainab ke hai, aye Nabi E Khuda
Aaiye Karbala khuld se Mustafa
dekhiye toh zara
Manzar e Karbala, karbala karbala

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *