Noha

Kahtey thay Haram baad e qatl e Shah
Wa Mohammada Kushta Shud Hussain
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Koi Namose Nabi ka puchne wala na tha
Chote chote bacche jal kar mar gaye wa hazrata
Shoor tha randoN mein aao ya Ali Mushkil Kusha
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Hain rawayat me ke jab jalne lage Shai ke khayaam
Nikla ek Masoom kheme se nihayat tashna kaam
Chand si surat gohar pehne huye woh Laal Afam
Aag kurte me lagi thi jalta tha daman tamam
Daudta tha jab wo baccha aag barhti thi siwa
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Kehta hai raavi mujhe rahm aya uske haal par
Uske daman se bujha di aag maine daud kar
Aag ke dar se hua jab mutmaiN woh Simavar
Dekha kis hasrat se maqtal ki taraf ba cashmtar
Maa ki yaad aayi use ya dhyan Bahno ka kiya
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Hai bayan ravi ke us Bacche ne phir mujhse kaha
Hamko aye shaqs ab batade tu Najaf ka rasta
Maine pucha kya karoge tum Najaf jakar bhala
Bola wo Dada se mai fariyad karne j aunga
Main kahonga Karbala chaliye to ya Sher e Khuda
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Aa gayi sham e GaaribaaN boli Zainab khastatan
Aye Bahan Kulsum, Bhai keh gaye thay ye suqan
Chootta huN tumse mai aur Mujhse sab ye gulbadan
Mere bacche ab hawale haiN tumhare aye Bahan
Haye Bhai ki amanat ka nai milta pata
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Bhai ki yaad aaye Zainab ne kaha hai kal ki baat
Bhai phirte thay talaya zaa na ho kuch ware zaar
Ab na Bhai hain na Abbas e Dilawar zaar
Bhai ke badle talaya main phirooN gi saari raat
Kahte yeh nikliN akeli Bint e Zahera berida
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Dhoonde BacchoN ko nikliN Bint e Zahera beqarar
Koi jangal me mila maqtal me koi ashkbar
Baz bacche mar gaye the jalka r bahar aye nazar
MayyatNn Unki jo dekhi khoob roiN zaar zaar
Ro ke farmati thiN bacchon tumpar Zainab ho fida
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Ayie ek janib se ghode ki jo tapon ki sada
Badkar ke us janib ba minnat Bint e Zahera ne kaha
Aye sawaar is waqt hampar reham kar bahre Khuda
Subh ko jitna tera ji cahe hamko lootna
Pyaas se roate the Bacche ab woh soye hai zara
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Dekha Zainab ne ke minnat se nahi sunta Sawaar
Aa gaya ghussa ke yeh hai Binte Sher e Kirdigar
Badh kar agen baag ghode ki pakad li us sawaar
Aur ye farmaya ke bas age na badhna zinahar
Ham gharibon ke satane se bhala kya faida
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Wo Sawaar utra faraz se aur kaha ba chashmatar
Tumne pehchana na Mujhko aye meri Laqte Jigar
Mai Ali Ibne Abu Talib Tumhara hooN Padar
Jao Beta jao kheme me Bahan ki lo khabar
Haie kaisa waqt Namoose Nabi par aa gaya
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Arz ki Zainab ne Baba kaisi aafat aa gai
Haye is jangal me Bhai ki shahadat ho gai
Marte dam pani na paya kya musibat ho gai
Ashkiya ghar me chale aye khayamat ho gai
Ek chadar ke liye mohtaj haiN Aale Iba
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Aapko maloom hai Baba ke Akbar mar gaye
Halq pe teer se-pehlo khakar Ashgar mar gaye
Kat gaye shane bhi Abbas e Dilawar mar gaye
Teen din ki piyas me Sibte Payambar mar gaye
Aag khaimoN me lagane aye haiN ye ashqiya
Zulm hai SaidaniyoN par aur yateemo par jafa
Baad e qatl e Shah ada ka badah ye hausla
Ghar jala ke khaakh kar dala Rasoolallah ka

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *