Noha

Jo Madine gaye Zainab, to na sambhl a dil e Muztar
To chali ashq baha kar, Yeh kaha qabr e Nabi par
Lut gaye Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gaye Zainab

Na woh Sher aisa Baradar, Na jigar jo Shah e Shappar
Na woh Hamshakl e Payambar, Na woh chhey maah ka Asghar
Lut gaye Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gaye Zainab

Chal gaya seene par naiza, Chida Akbar ka kaleja
Woh qayamat ka sama tha, Mera Bhayyia tha akela
Sun yeh kahani

Kabhi laashe ko uthaya, kabhi bachchon ko bulaya
Kabhi Haider ko pukara, thay ajab haal me Sarwar
Lut gaye Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gaye Zainab

Kabhi badhna soo e khaima, kabhi khaimey se palatna
Kabhi besheer ko takna, Kabhi seenay se lagana
Keh na sakoo gi

Kabhi awaaaz di Asghar, Kabhi ro utthe tadap kar
Kabhi muh rakh diya muh par, Hai mujhe yaad w oh manzar
Lut gaye Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gaye Zainab

Asr ke baad ka kissa, Soch kar dil hai dahelta
Qatl jab ho gaya Pyaasa, Pisar e Fatima Zaherra
Ghash mein thay Abid

Mujhe aada ne sataya, Mere khaimon ko jalaya
Jhoola besheer ka loota, Mere chhiney gaye chadar
Lut gaye Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gaye Zainab

Shaam o Koofa ka fasana, Dil se mushkil hai bhulana
Tha phira ham se zamana, Qaid tha sara gharana
Baal they muh par

Intezaamaat bade thay, Sare bazaar saje thay
Sab tamashayi khade thay, Hum thay ai Nanaa khule sar
Lut gaye Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gaye Zainab

Na qanateN na woh khaima, Na who Abbas ka pahra
Eik sama shab ka darauna, meri godi mein Sakeena
Lipti hui thi

Jab hui Shaam e Gareeban, Chandni phirti thi hairaaN
Woh khamoshi woh bayabaaN, Thay Haram khaak ke oopar
Lut gaye Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gaye Zainab

Saqt Mahir* who ghadi thi, Jaisi Zainab pa padi thi
Dar par khamosh khadi thi, Pyaas Sarwar ko badhi thi
Hashr Bapa tha

Tha kahin Maher e Munnawar, To kahi tha Mah e Anwar
Thay sabhi taare zameen par, Asmaan tha tahe khanjar
Lut gaye Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gaye Zainab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *