Noha

Hai shame ghariban ki ye awaaz
Ay Saaniye Zehra, ay Saaniye Zehra

Soona hua ran cha gayi maqtal may udaasi
Sairaab hui khoon se jo khaak thi pyasi
Gulshan hua pamaal har ek phool hai baasi
Khaime ki nigehbaan hai Mohammad ki Nawasi
Din chup gaya raat aa gayi sunsaan hai sehra
Ay Saaniye Zehra, ay Saaniye Zehra

Allah ke Mehboob to jannat ko sidhaare
Jangal ki hawa sunti hai ab bain tumhare
Madhosh hue neendh may akaash ke taare
Maare gaye Abbas bhi darya ke kanare
Ab unki jagah girde haram do Tumhi pehra
Ay Saaniye Zehra, ay Saaniye Zehra

Mazloom behan bhai ke laashe pe khadi hai
Lab bandh rawan aankhon se ashkon ki jhadi hai
Be-gor o kafan laash biyabaan mein padi hai
Ek hashr ka maidan hai qayamat ki ghadi hai
Jab bheeg gayi yaad to saraaab hua gehra
Ay Saaniye Zehra, ay Saaniye Zehra

Bhai se kaho aake Sakina ko sula do
Qasim ko pukaro Ali Akbar ko sada do
Abbas zara aake rida sar par uda-do
Beton se kaho aun ke mehmil may bithado
Kal suboh ko jaana hai tumhe chod ke sehra
Ay Saaniye Zehra, ay Saaniye Zehra

Jangal se Sakina ko to le aayi hoon jaakar
Asghar ko bhi tum godh may le aao uthakar
Behlao kahani koi Baqar ko sunakar
Kyon laayi na tum khaak se Akbar ko jagakar
Jangal bhi hai purhol andhera bhi hai gehra
Ay Saaniye Zehra, ay Saaniye Zehra

Bibi se basad arz yahi kehta hai Akhtar*
Ay noore dil e Fathima lakhte dile Hyder
Ay kushta e gham Sayyad e Mazloom ki Khaahar
Mai misle qadab hoon mujhe kar dijiye gowhar
Tareekhe abad may mera parcham ho sunhehra
Ay Saaniye Zehra, ay Saaniye Zehra

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *