Noha

Kahtey thay Hussain
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Ab yaan na mayassar hai paani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Iss gham ne bohut rulwaya hai
Janib tu mere ab aaya hai
Jab paas nahin mere paani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Main kar na saka teri khidmat
Aati hai yahan sab ko ghairat
Kahti hai yehi har Saidaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Ab sar ko utha gham khaata hai kyun
Aa paas mere sharmata hai kyun
Raazi hain sabhi tujse Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Kyu rukh par udaasi chhaye hai
Iss waqt tu mera Bhai hai
Rishta hai hamara imaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Khaimey mein mere hai hashr bapa
Hain ahle haram be aab o ghiza
Bachchon mein hai ghul Paani paani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Asghar hai tadapta jhooley mein
Hai aag bhadakti seene mein
Beraham hai quam e shaitani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Haq kya hai yeh tooney paichana
Aur apne wazifey ko jaana
Duniya mein nahin tera saani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Har roz ba arz e Karbobala
Main sab ki hidayat karta raha
Bas toone yahan meri maani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Jannat mein hain mere Nana Nabi
Woh pyaas bujhayen ge teri
Pilwaien ge Kausar se paani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Tha laash pe Hamid* Shah ka bayaan
Thay Ahl e Haram sab nauha kunan
Maqbool ho aise qurbani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani
Kahta tha Mohammad ka Jaani
Ai Hurr Main karun kya mehmaani

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *