Noha

Ay Godiyon Ke Paale, Laila Ke Dil Ki Dharas
Islam ki tajalli, eemaan ke ujale

Bujhti hui jawani yeh bhool jane wale
Kaise samajh saki gi, woh maut ke ishare

Parda pada hua hai, kis tarah maa pukare
Ay maut ki nazar se, aakhen ladane wale

Ujde huwe chaman ki, Khilti kali hai Akbar
Har saaNs kah rahi hai, Tum zindagi ho Akbar

Ay noor e chasm e Laila, Taqdeer ke ujale

Rukhsat ka dil par gham hai, Akbar salaam ley lo
Yeh aakhri Alam hai, Akbar salaam ley lo

Jaati hui ada hai, ab khatm hain yeh naale
Hai qaum tum par sadqey, Gibraeel ke dulare

Islaam ke sahare, eemaan ke Shahzaade
Yeh kaun si ada thi, Atthara saal wale

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *