Noha

Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Sheh laate hai hamshakl e Payambar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Khaime mein alam aaya hai Kohraam hai barpa
Darya par hai Abbas e Dilawar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Is darja Sakina se tha sharmindaAlamdaar
Sheh laa na sake apne Biraadar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Ay kul ke Madagaar madad karne ko aao
Shabbir se uth-ta nahi Akbar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Asghar ki taraf dehk ke yeh kahti thi Bano
Kin aakhon se dekhu mai Gul e Sar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Pamaal hua dasht may ghodon ki sumon se
Kis tarha uthay Qasim e Muztar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Pad jaaye na ya rab kahin Zainab ki nighayen
Teeron pa hai rakkha hua Sarwar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Kya zulm hai tapti hui reeti par pada hai
Be gor o kafan Sipte Payambar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Jab dafn hua Fathima Sar peet rahin thin
Shabbir dil e Saqhi e Kausar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Bano ne kaha teer hain pewast badan mein
Dheere sa uthana mere Shohhar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Zainab ne kaha sar se mere chhin gaye chadar
Tareekhea shab mein utha Maadar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Zainab zara bano ke kaleje ko sambhalo
Shabbir ke haaton pa hai Asghar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Us bahi se zindan ki musibat koi poochey
Jis Bhai ke haaton par ho khawhar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Sarwar ki sada aati hai choti si lahad pe
Laao mujhe de do meri dukhtar ka janaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Ishrat* main bayan kaise karoon kaise utha tha
Maqtal ki zameen par Sah e Besar ka janaaza
Athara baras ke Ali Akbar ka janaza
Akbar ka janaza

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *