Noha

Ashoor ka tah roz Musibat ka tha hangaam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda
Uss waqt me qasid ne yeh la kar diya paighaam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda
Ashoor ka tah roz Musibat ka tha hangaam

Tanhan the khade Shah lahoo betah tha tan se
Aada se ye kehte
Ai quom musafir ka yoonhi karte hain ikraam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Kadmon pa gira akhon se nalain laga kar
Tasleem ki jhuk kar
Farmiya yeh Hazrat ne akhir kiya hai tera naam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Tu ne meri is waqt mein tauquir ki Bhai
Haq tujhse ho razi
Tasleem bhi karthi nahi mujhko sipahe shaam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Hoon teen shab o roz ke faaqe se Baradar
Aur pyaasa hai sab ghar
Is waqt mein ai Bhai tera kya karoon ikraam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Gar rakhta ho hajat koi ai Bhai bayaN kar
Kuch Mujhko ayaN kar
Iss waqt meiN hajat teri bar laye yeh Nakaam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Usne kaha Beemar jo hai Aap ki Dukhtar
Har waqt hai muztar
Khat uska main le aayan hoon yah Shah e Khush Anjaam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Khaat dekha jo Sughra ka toh ek dil mein utha dard
Aur aah bhari sard
Qasid se ye kehne lagey Shahenshah e Islam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Khaat likne ki fursaat nahi kya keh doon zabani
Sab ghar hua faani
Ab Akbar o Kasim haiN na Asghar sabo Gulfam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Le aaye woh khaat Shah sarhane Shohada ke
Bahi ko pukare
Akbar ko pukare kabhi Asghar ka liya naam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Kya sohteh ho ai Noor-e-Nigha e dil e Shabbir
Likthi hai ye Hamsheer
Tasleem tumhein ay mere BedafnoN Kush-anjaam
Wa Hasrat-o-darda, Wa Hasrat-o-darda

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *