Noha

Bata rahi hai diloN ki badhi hui dhadkan
Atash ki aag se ab tak jhulas raha hai badan
Khayam jal chuke, haatoN mein band chuki hai rasan
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Abhi masaib e Karbobala se guzri hai
Abhi to khaimoN se bahar nikal ke baithe hai
Kahan ho ai mere Abbas ro ke kahti hai
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Shaheed ho gaye sab Bhai Karbala aa kar
Rida bhi chhin gaye sar se, hui barhaina sar
Jo dekh sakte ho Abbas dekh lo manzar
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Ajeeb haal se Zainab guzar rahi hai yahan
Jali qanaat se ab tak nikal raha hai dhuan
Ubhar ke aa gaye bazoo pa rassioN ke nishaan
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Qadam qadam pa Madine ki yaad aati hai
Yateem bacchoN ko taskeen deti jati hai
Kabhi Bhatije ko badh kar gale lagati hai
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Pase Hussain Munadi yeh de raha tha sada
Chuta Madina to sabh BhayioN ne chhod diya
Mila hai Karbobala aa ke yeh naya tohfa
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Kise bulaye kise de sada, kare bhi to kya
Koi bhi Aabid e Beemaar ke siwa na raha
Tumhare khat ka likhe kya jawaab a i Sughra
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Ruki ruki hui nafseN hai, dil dhadkta hai
Qadam qadam pa museebat ka daur dohra hai
Jari furaat par yeh baat sun ke rota hai
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Tha itna sharm meiN dooba hua Sakeena se
Palat ke aaya na Abbas mera dariya se
Kaha yeh Hazrat e Zainab ne ro ke Laila se
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Kahan pa laye hai Zainab ko gher kar qismat
Hujoom e ranj o alam aur dard ki shhiddat
Zabaan kaun se laye jo yeh kahe Ishrat*
Aseer hoti hai AttharaN bhaiyon ki bahen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *