Noha

Ali walo mein khuddari jo pehle thi woh ab bhi hai
Sitam garo se bezari jo pehl e thi woh ab bhi hai

Hazaro karwato par karwateN badli zamane ne
Magar Shah ki azadari jo pehli thi woh ab bhi hai

Husainiyat ke shaidai na badle hai na badlege
Fidakari wafadari jo pehle thi woh ab bhi hai

Nabi ki hamsari ka aaj bhi dawa hai logoN ko
Hasad ki dil me chingari jo pehle thi woh ab bhi hai

Hamare khoon ke gare bana ke dekh le duniya
Ke tehrike fidakari jo pehle thi woh ab bhi hai.

Chupe chori kahiN imaan kahiN islam bikta hai,
Jaha me chor bazari jo pehle thi woh ab bhi hai

Hua karta hai khoon insaf ka ab bhi zamane me,
Nabi ke deen se gaddari jo pehle thi woh ab bhi hai

Hamesha bekaso pa zulm dhaye hai zamane ne
Wohi batil ki khoonkhari jo pehle thi woh ab bhi hai

Munnawar* dushmane Shah se murrauwat aur hum tauba
Dilo me unke gaddari jo phle yhi woh ab bhi hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *