Ali Jee

Wa wayla, Haye Wayla
Wa wayla, Haye Wayla
Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja
khaimon se sada ye aati hai

Akbar ki sawaari jaati hai.
Akbar ki sawaari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar ki sawari jaati hai.

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja
khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawaari jaati hai.

Hum shakl e Payambar jata hai,
dil baap ka dooba jaata hai
dil baap ka dooba jaata hai,
Sar peet rahi hai maañ dukhiya,
Sar peet rahi hai maañ dukhiya
Akbar ki sawaari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar ki sawaari jaati hai.

18 baras naazoñ se jise,
Parwaan chadhaya Zainab ne
Parwaan chadhaya Zainab ne,
Gulshan hai ujda Zainab ka,
Gulshan hai ujda Zainab ka
Akbar ki sawaari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar ki sawaari jaati hai.

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja
khaimon se sada ye aati hai
Akbar ki sawaari jaati hai.

Kehti thi Sakina ro ro kar,
Laut aao Bhai Ali Akbar
Laut aao Bhai Ali Akbar
Qadmoñ se lipti masooma,
Qadmoñ se lipti masooma
Akbar ki sawaari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar ki sawaari jaati hai.

Akbar se sakina jab lipti
Shabbir ko sughra yaad aayi
Shabbir ko sughra yaad aayi
Use kaise batayeñ ye baba,
Use kaise batayeñ ye baba
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar sawari jaati hai.

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja
khaimon se sada ye aati hai
Akbar sawari jaati hai.

Kuch der ruko beta Akbar,
Mai tumko bana to lu dulha
Mai tumko ko bana to lu dulha
Afsos na raas aaya sehra,
Afsos na raas aaya sehra
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar sawari jaati hai.

Teri yaad bahot tadpayegi,
Maañ jeete ji mar jayegi
Maañ jeete ji mar jayegi
Maadar ke labon par hai nauha,
Maadar ke labon par hai nauha
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar sawari jaati hai.

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja
Khaimon se sada ye aati hai
Akbar sawari jaati hai.

Jaao Akbar, jaao Akbar

Shah kehte the jaao Akbar,
Mujhe dekhte rahna mud mud kar
Mujhe dekhte rahna mud mud kar
Deta hai sada boodha baba,
Deta hai sada boodha baba
Akbar sawari jaati hai.

Khaimon me bapa hai wawaila
Khaimon me bapa hai wawaila
Akbar sawari jaati hai.

Na Ja Akbar Na Ja
Na Ja Akbar Na Ja
Khaimon se sada ye aati hai
Akbar sawari jaati hai.
Wa wayla Haye Wayla

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *