Noha

Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke
Laila yeh samjhiN aa geyen hain ab din bahaar ke

Yeh kab khabar thi aaye gi pardes mein qaza
Armaan na ho gein poore dil e soogwar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Akbar ko raas aaya na attharwan baras
Loota khizaaN ne daur mein fasle bahaar ko
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Husn e jawaani e Ali Akbar ko dekhiyea
Laila sarhane baithe hain zulfe sawaar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Ham shakl e Mustafa pa bhi aaya na kuch taras
Ibne Anas ne qatl kiya naiza maar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Barchi ka phal hai seene mein, hichki hai maut ki
Shah ko salaam karteN hain Akbar pukaar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Laila ke dil mein rah gaya armaan biyaha ka
Baithe hai gham rasheeda muqqadar se haar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Laye Hussain khaime main Akbar ki laash jab
Maa dekh kar tadapne lagiN cheekh maar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Kubra ka yeh bayaan tha Maadar se baar baar
Baheno ko de do Bhai ka sadqa utar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Afsoos teen roz ke pyaa se hue shaheed
Kumla gaye hain hoth mere golzaar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Maa ki lahed pa aaoge padhne ko fateha
Baitho ge tum qareen hamare mazaar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Muddat se dil mein maa ke tammana thi mere Laal
Shaadi teri rachaoon gi sadqa uttar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Baade Hussain ahle haram hain barhaina sar
Zalim ridaye le gaye sar se utar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Bas aakhri yeh dil ki tammana hai ai Qamar*
Rauze pa jald poucheN Shah e Naamdaar ke
Akbar hue jawaan jo bachpan guzaar ke

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *