Noha

Ajal se bachane ko aasoo bahaye
Magar Maa ki godi mein Asghar na aaye
Ajal se bachane ko aasoo bahaye

Yeh himmat thi Asghar ki duniya bataye
Hasi aa gaye aur aasoo na aaye
Ajal se bachane ko aasoo bahaye

Woh saahil par Abbas bharten hai paani
Magar bahti maujon se daaman bachaye
Ajal se bachane ko aasoo bahaye

Chale aao Asghar, tadapti hai Maadar
Akela hai jhoola kahan tak jhoolaye
Ajal se bachane ko aasoo bahaye

Na Akbar mein dam hai, na raazi hain Maula
Yeh kya dekhtey hain nigahen jhukaye
Ajal se bachane ko aasoo bahaye

Ajal poochtey hai Shah e Deen se rann mein
Kise laa rahen hain aba me chupaye
Ajal se bachane ko aasoo bahaye

Ya Hussain e Imaam, Noor e Do Ain e Imaam
Mohammad ke Nawase par durood aus salaam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *