Noha

Aina-aina Ai Ali Akbar
Thame kamar ko kahte the Sarwar
Awaaz do….

Tadap ke Maa ne kaha, Beboyon buka na karo
Abhi-abhi mere Akbar ko neend aaye hai
Yeh mera laal jahan ko jaga ke soya hai, Ya Hussain
Buland kar ke sadayen isse khafa na karo, Ya Hussain
Abhi-abhi mere Akbar ko neend aaye hai

Yeh meri jaan e tamanna, thaka hai bohut, Ya Hussain
Yeh teen roz ka pyasaa, thaka hai bohut, Ya Hussain
Na jaag jaye kahin to, kaho buka na karo
Abhi-abhi mere Akbar ko neend aaye hai

Pahen ke apne Lahu ka libaas aaya hai, Ya Hussain
Na xxxx yeh le lay, Paas aaya hai, Ya Hussain
Maqaam-e-fikr hai, ro-ro ke tum gila na karo
Abhi-abhi mere Akbar ko neend aaye hai

Tamaam raat ibadat ko yeh bhi jaaga hai, Ya Hussain
Woh pure shukr-e-shahdat ko yeh bhi jaaga hai, Ya Hussain
Lagi hai aakh, pareshan, ise zara na karo
Abhi-abhi mere Akbar ko neend aaye hai
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *