Noha

Ai Shaheed e rahe wafa Qasim
Yeh naya zulm ho gaya Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

Kya is hi waqt maut aani thi
Adkhila phool zindigaani thi
Kuch ladakpan tha kuch Jawaani thi
Ai JawaN Mard khush ada Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

Husn e soorat pa do jahan sadqe
Tikhi chitwan pa bijliyaaN sadqe
Maut pa umr e jawidaN sadqe
Jisne doohla bana diya Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

Jaan dene watan se aaye thay
Fikr e ruksat mein sar jhukaye thay
Kya sifarish Pidar ki laye thay
Izn kis tarhaN mil gaya Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

Shah e Mazloom ke Dulaare ho
Maadar e Ghamzada ke pyaare ho
Bebasi ke tumhi sahare ho
Maa se kyuN kar mili riza Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

Chaadar e tasht haath kaaNp gaya
Karawaan e Hayaat kaaNp gaya
Halqa e kaayanat kaaNp gaya
Phool sa jism, yeh jafa Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

YuN sadaqat pa jaan khoteN hain
Aaj tak haq parast rooteN hain
Sach hai sheroN ke sher hooteN haiN
Yeh sin o saal yeh wigha Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

Sarfaroshi ki shaan kya kahena
Hashami aan baan kya kahena
Ai Hussaini Jawan kya kahena
Rahat e Jaan e Mujtaba Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

Misl e gul ba qaba Salaam Aleik
Mard e jung aazma Salaam Aleik
Waris e la fana Salaam Aleik
Najm* iss shaan pa fida Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim
Raunaq e dasht e Nainawah Qasim
Haye pamaal e Karbala Qasim

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *