Noha

Ai Jaan o Dil e Haider e Karrar Alamdaar
Zinda haiN jahan meiN Tere aasaar Alamdaar
Mashk o Alam ab bhi hai khoon-baar Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

LahreN abhi leta hai fiza mein tera pa cham
Parcham se numayaa hai wafa ka teri aalam
Bhoole gi na duniya tera eesaar, Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

Darya e Mohabbat mein rawaN hai teri kashti
Bachche tere taqleed mein bante hain Baheshti
Zaahir hai Sakeena se jo tha pyaar, Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

Dariya pa raha yaad mohabbat ka qareena
Woh pyaas mein do roz ki paani ka na peena
Yaad aati yeh manzil e dushwaar, Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

Kya seena sipar, mashk e Sakeena ka raha tu
Eik teer na aane diya, jab tak rahe bazoo
Iss shaan se chamki teri talwaar, Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

Tujh se hi Sakeena ko tha paani ka sahara
Kya janiyea kis dard se tha usne pukara
Ai lashkare e Shabbir ke Jarrar, Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

Kiss shaan se Baba ka alam toone uthaya
Himmat ne tujhe zinda e Jawaid banaya
Raas aaya hai kya masnsb e Karrar, Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

Tewar pa fida, tashna-dahani pa tassaduq
Millat ke jawan teri jawani pa tassaduq
Sab teri mohabat meiN hai sharshaad, Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

Sadiyon se haiN kandhe pa alam tera uthaye
HaaN eik nigah e lutf, Yadullah ke Jaaye
Himmat hai dilon mein teri darkaar, Alamdaar
Ab tak hai zabanoN pa, Alamdaar, Alamdaar!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *