Noha

aey mominoN hai beeswiN maah’e RamazaaN ki, wa hasrat o darda
batlaati hai baRhti hui hasrat yeh makaaN ki, waa hasrat o darda

ab noor na deikheiga koi sheir e Khuda ka, ghul hoga buka ka
raunaq hai faqat eik hi shabb bazm’e jahaan ki, waa hasrat o darda

jab zakhm’e sar’e shaah ko jar’raah ne deikha, sAr peet ke bola
ummid nahiN sehatte sardaar’e jahaaN ki, waa hasrat o darda

hAr kuuchao baazaar meiN hai shoar’e qayaamat, kaisi hai museebat
badli hui haalat hai hAr ek peer o jawaaN ki, waa hasrat o darda

HasnaiN bhi beitaab haiN Zainab bhi haiN muztar, hUm roaeiN na kyuNkar
rukhsat hai koi aan meiN shaah’e do_jahaaN ki, waa hasrat o darda

bin baap ke bachchoN ki bahot ghair hai haalat, thamti nahiN riqqat
ab kaun khabar leiga yateemaan’e jahaaN ki, waa hasrat o darda

deikha hai lahoo jab se sAr’e Shaah’e Huda ka, andheir hai duniya
beitaab haiN maujeiN bhi hAr ek bahr’e rawaaN ki, waa hasrat o darda

iss ghum se sar’e mauj’e saba Jin bhi haiN giryaaN, hai hashr ka saamaaN
aawaaz hawaaoN se bhi aati hai fughaaN ki, waa hasrat o darda

ab kar yeh dua hAq se mayassar ho ziyaarat, bAr aaey yeh hasrat
aage nahiN aey Fikr* bAs ab taab bayaaN ki, waa hasrat o darda

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *