Noha

Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,
Khoon e Hussain rann meiN bahana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Baano ko ja ke khaimeN mein de dejiyea Hussain
Asghar ko zer e khaak chipana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Naashad Maa ki goda ko veeran karke Shah,
Aagosh e qabr rann mai basana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Akbar ka husn dekh ke kehte the ashqiya
Tasveer hai Nabi ki mitana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Kehta tha shimr aur janaze utheN magar,
Sarvar ki laash rann se uthana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Maare gaye haiN jo unhe matti meiN saup do,
Haan qabr Shah e deen ki banana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Sarvar ko qatl kar chuke, qaeme jala chuke,
Maqtal mai bekaso ko to laana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Duniya mai sab yateem ko taskeen deteN hai,
Sarwar ki Laadli ko rulana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Asghar ka haal dekh ke kehte the ashqiya,
Kya iski tashnagi bhi bhujana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Dekho to iski chaand si surat, jhandoole baal,
Naavak gale par iske lgana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Joda kama’n mai teer to zaalim se bole Shah,
Bacche ka doodh yun to badhana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Baano ko laa raheN hai udo’n rann mai kis liye,
Laasha jawan Pisar ka dikhana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Maula Razi* ke haath meiN daaman hai Aapka,
Kya isko ranj-o-gham se chudana na chahiye,
Aey kufiyo watan se chudana na chahiye,

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *