Noha

Kehtay Tay Shah-e-deen Mere Abbas Kahan Ho
Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho

Tanha Hoon Karda Dasht-e-bala Main Baradar
Dekho Zara Aakar – Dekho Zara Aakar
Pala Tha Jinhay Nazon Say, Sotay Hain Kahan Wo
Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho

Dikhta Nahi Ab Ankhon Say, Har Su Hai Andhera
Dum Rukta Hai Mera – Dum Rukta Hai Mera
Dayta Hai Sadain Ali Akbar Mera Mujhko
Abbas Kahan Ho – Abbas Kahan Ho

Seenay Main Jawan Laal Kay, Barchi Ki Aani Hay
Tharratthi Zameen Hai- Tharratthi Zameen Hai
Uljha Hua Barchi Main Na Akbar Ka Jigar Ho
Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho

Seenay Say Sina Kaynch Kay, Akbar Kay Sarhanay
Is Dasht-e-bala Main – Is Dasht-e-bala Main
Tak Ta Hoon Basad Yaad Say Dum Tor Tay Usko
Abbas Kahan Ho – Abbas Kahan Ho

Haathon Pay Ugal Tha Hay, Lahoo Asghar-e-baysheer
Gardan Pay Laga Teer – Gardan Pay Laga Teer
Kiya Keh Kay Tassalli Doon Dar Pay Kari Maa Ko
Abbas Kahan Ho – Abbas Kahan Ho

Nanni Si Lehad Main Ali Asghar Ko Lita Kar
Mitti Pay Sula Kar – Mitti Pay Sula Kar
Uth Tha Hoon Kabhi Gir Tha Hoon Thamay Hue Dil Ko
Abbas Kahan Ho – Abbas Kahan Ho

Jaata Hoon Rah-e-haq Main Gala Aapna Katanay
Khaliq Ki Raza Main – Khaliq Ki Raza Main
Ab Shimr Ka Khanjar Meri Gardan Pay Rawan Ho
Abbas Kahan Ho – Abbas Kahan Ho

Chalthi Rahi Gardan Pay Churi Dekh Rahi Thi
Zainab Nay Sada Di – Zainab Nay Sada Di
Sookha Hay Gala Bhai Ka Pani To Pilado
Abbas Kahan Ho – Abbas Kahan Ho

Chalthi Thi Siya Aandhiyan Khoon Bikhra Tha Har Sou
Jab Khol Kay Ghainsou – Jab Khol Kay Ghainsou
Ik Laashe Buridan Pay Ye Maa Kehti Thi Ro Ro
Abbas Kahan Ho, Mere Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *