Noha

Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN
Haidar baqual e quam e nusari, Khuda bhi haiN
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi Hai

Kaabe meiN bud-shikan toh masjid meiN Imaam
Gibraeel kah rahen hai, Ali La Fatah bhi hain
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN

Abbas ab na palteN ge Dariya liye baghair
Badhta hua qadam kabhi, peeche hata bhi hai
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN

Saqqaye Ail e Bait haiN, Abbas naam hai
Talwaar khaich leiN to yeh, Sher e Khuda bhi hain
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN

Khaibar mein kaise waar se Shah par nahi kate
Haider ki Zulfeqar se, koi bacha bhi hai
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN

Toofan uth raha hai to utthe hazaar baar
Kashti ke saath saath, mera Nakhuda bhi hai
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN

Akbar na kyuN hon apne muqabil par fatheyaab
Zore e Ali hai haat meiN, Maa ki dua bhi hai
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN

Khandaq meiN kaun jayega dushman ke saamne
Islam mein Ali ke, siwa doosra bhi hai
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN

Dekho adab se rauza e Shabbir ki taraf
Mahir* khayal e azmate, Karbobala bhi hai
Aaqa-e-Do Jahan Hai Mushkilkusha Bhi HaiN

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *