Noha

Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN
Jaana Agar Ho Izm E Payambar K Shaher Mein

Ji chachata hai waadiyea Makkah se pooch loon
Bigda kahan se aaye Payambar ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Inkaar se Hussain ne aise lagaye aag
Jo le uthey Yazid e sitamgar ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Yeh inquilaab dekha hai Yaad e Ali baad
Sarwar na poocha jaata hai Khaibar ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Mashkize mein samet ke dariya ko le gaya
Haider ek aur dekha hai Haider ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Jab se Ali ne toda hai josh e jihaa d mein
Sarwar na gir saka kahin Khaibar ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Milta nahin fauj e abbabeel ka jawaab
Mabood e kayanaat ke lashkar ke Shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Hur aaya aur ho gaya sadqe Hussain par
Khatre ki kya thi zaat samandar ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Yak Jaan hain aaj Panjetan e Paak dekhiyea
Hain kayanaat Noor ki Chadar ke Sheher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Sunte hain lafatha ke qaside ke saath saath
Talwaar utar ke aagayi Haider ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Dushman ke dil jalaata hua aasmaan se
Chhaya uttar ke aa gaya Haider ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Tashnalabi ne hadd ke jigar phaad dalen hain
Ek paak kali yeh phool ki patthar Ke Shaher MeiN
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Mahir* Najaf ki khaak se hum apne waaste
Kaaba bana ke baithey hain Haider ke shaher mein
Aao Adab Se Haider e Safdar Ke Shaher MeiN

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *