Noha

akey khaime mein kaha ShAh ne ke khwaahar, alwidaa
maiN bhi marne jaata hooN, aey binte Haider,alwidaa

baad meire sAbr karna, jo museebat bhi paRey
alwida aey Zainab o Kulsoom o muztar, alwidaa

jaake Aabid ke sarhaane phir yeh boale Shaahe deeN
aey mere be_kas pisar, beemaar o laaghar, alwidaa

tUm imame waqt hoage meire mAr jaane ke baad
sabr hAr haalat meiN karna, bahr’e daawar, alwidaa

beiRiyaaN aur tauq pahnaaeiN tumhein gar ashqiya
bAd_dua karna na aey dil_bande Haider, alwidaa

phir galey lipta ke yooN baali Sakeena se kaha
aey mere seene pa soane waali dukhtar, alwidaa

zidd na karna baad meire aey meri noor e nazar
ab mohaafiz hai tera, khallaaq’e akbar, alwidaa

aaNsuoN ke taar ne dil ki rageiN sAb toaR deeN
chUp raho roa leina beiti mujh se chuTt kar, alwidaa

pyaar karke phir Sakeena ko utaara goad se
aur kaha Ahle Haram se ShAh ne roakar, alwidaa

aakhri sohbat hai yeh aur aakhri yeh guftagu
ab na kuch tUmse kahooNga ta_ba mahshar, alwidaa

tUm ko bhi pahoNche meri jaanib se aey Fizza salaam
aey kaneeze maadare Shappir o Shappar, alwidaa

Hind se ab tak na nikley tUm to aey fikr*e hazeeN
aur rukhsat kar diya, Sarwar ko roakar, alwidaa

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *