Noha

Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari
Laashe par Sakeena ke karo girya o zaari, uthti hai sawaari

Laashe par Sakeena ke phupijaan bhi aayeN, poshaak pinahayen
Kis kis ko pinhanyoon gi yeh kapde jo hain bhari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Ai Bano e mamool Karo haat se rukhsat, aur goad chipa lo
Ab soo e lahad jaati hai beti yeh tumhari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Aakhon ne kaha phir mujhe eik baar dikha do, chadar toh hata do
Aakhir ko dafan hone ko jaati hai yeh pyaari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Zindaan ke andhere mein na neend aati thi tumko, tum rotiN thiN shab ko
Ab qabr mein konkar tumhe neend aaye gi pyaari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Armaan raha tum nanhi dulhan biyah ke jaati, phir maa ke ghar aati
Kya dhoom se jaati hai baraat aaj tumhari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Aaj hi tera zindaan ke darwaze par jaana, aur gudkiyan khana
Sadma raha teri khabar kar nahi pyaari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Is zor se bunde tere kaanoN se uttare, zakhmi hue saare
who jhatka diya ke hai lahoo kaano se jaari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Beemaar ne taboot ko kandhe par uthaya, ro kar yeh sunaya
Kis tarah chaloon, paoN meiN haiN bereyan bandhi, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Aabid ne kahfan de ke jo turbat mein utara, ro kar yeh pukara
Aaj dil mei chupata hoon main soorat yeh tumhari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Ab na kahi Sehra bhi hoga phool se oopar, ai Aabid e muztar
Rah jaye ga ji bhar yeh purarmaan tumhare, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Ai mominon taboot Sakina ka uthao, aur kahtey yeh jaao
Duniya se uti hai Shah e Mazloom ki pyaari, uthti hai sawaari
Aabid ne kaha mar gaye Hamsheer Hamari, uthti hai sawaari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *