Noha

Haye Aabid hai beemar, Aabid hai beemar

Jhoom raha hai kha kar tan par
Jannat ka sardar
Teer o tabar, Naizey aur bhaley
Khanjar aut talwaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Dekho jahan tak phailey hui hai
Khaima-khaima aag
Shaam ka lashkar loot raha hai
Yasrab ka gharbaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Dil ko jalaye daal rahi hai
Kayi dinin ki pyaas
Khoob lada Saqqa dariya par
Khoob chali talwaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Koi yeh aagosh-e-Zaherra mein
Asr ki manzil aaye
Teeron par aaram karen-ge
Kab tak yuh Sarkaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Chhand aur sooraj sab hain grahen mein
Patthar patthar khoon
Shah-e-Zaman ke khushk gale par
Khanjar ki hai dhaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Soote hain sab khaak ke oopar
Kisko de aawaaz
Qatl huey sab Bhai Bhatijay
Lutta hai gharbaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Shaam ka lashkar loot le khaimey
Sun le magar ek baat
Itna bata de, Zaherra ka ghar
Ghar hai ya bazaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Kaun aise mein aaye madad ko
Kaun sune fariyaad
Sar hai barhaina, mujse bandhi hai
Zainab hai laachaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Koofa hai aur Aabid-e-muztar
Maa baheney ka saath
Dil ke oopar nashtar marey
Sajey sajey bazaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Chalte chalte dam lene ko
Ruke jo thak kar paon
Hoti hai Sajjad ke oopar
Zulmon ki bauchaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Jaisa lut hai Zaherra ka ghar
Aisa kuta kab koi
Dekhi nahin duniya mein luttey
Aisi koi sarkaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Kaisi guzarti hai Aabid par
Mahir* Kaun Bataye
Maa Phupiyan hain sab sar nangey
Shaam ka hai bazaar
Aabid hai beemar, Haye Aabid hai beemar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *