ZubaN par madha Hai Baagh e Ali ke naunehalon ki
Gulistan se hai rangiin majlisein nazuk khayalon ki
———————————————————-
Ma’az Allah roab e dilbaraan e Hazra t e Zainab
Ali ka roab, Chitwan Sher ki, aankhein ghazaalon ki
———————————————————-
Kamar kas kar Ali Akbar ne jab sar par rakha Shamla
Balaaein le lein jhuk kar Maan ne ghungar waale baalon ki
———————————————————-
Behamdillah, Abid kahte they, jab poochtiiN Zainab
Phoopi qurbaan, ab kya shakl hai talwoN ke chaalon ki
———————————————————-
Gire jab Shah ghode se, nida haatif ki yeh aai
Jagha jhaadi hui hai, Fatima Zahera ke baalon ki
———————————————————-
Anees* ab to Hilaal o Badr ko yaksaN samajhte hain
Rahi hai munsifoN meiN qadr yeh sahab Kamaalon ki