ZindaN hai Andhera Hai aur eik Nannhi si JaN hain

Noha

ZindaN hai Andhera Hai aur eik Nannhi si JaN hain
Machli hai who is par ke mera Baap kahaN hai

Aqa ko bula do mere Baba ko bula do
Kah do ke Sakina ne tumhe yaad kiya hai

Bahlaye ke bahle na kisi tarhan Sakina
Sambhal ke Sajjad ne godi meiN liya hai

Sajjad ne phir baith ke baaten ki Padar ki
Jab so gayi bachchi to use khwaab hua hai

Farmate haiN ham aayeN hain lene ko tumhare
Haye Haye Mere Bachchi pa bada zulm hua hai

Kisne Meri Beti ko yeh maare hain tamacheN
KaanoN se gauhar le liyea Afsoos ki jaN hai

Zindan ke andhere meiN na ghabrao Sakina
Jannat bhi saji jaati hai Kausar bhi bhara hai

Ma kahtiN thiN mayyat se Sakina ki lipat kar
Uttho me jaaN murg e saher bol raha hai

ZindaN hai Andhera Hai aur eik Nannhi si JaN hain,

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *