Zeir e lab log hameiN Panjetani kahte haiN
Hum isey faiz e wilaaey Hasani kahte haiN
Jab se deikha hai dar e Aale Mohammed pa mujhe
Ahle duniya mujhey qismat ka dhani kahte haiN
Madhe Maula rahi, Misam ki zabaN katTi rahi
Aise deewane ko hum Panjetani kahte haiN
Maankar Khum meiN Ali ko nahiN maana Maula
Aur kis cheez ko wada -shikani kahte haiN
Qatraey ashk e Aza ko paey qalbe dushman
Jo samajhdaar haiN heere ki kani kahte haiN
Istilaahe rahe mazloomi ko ab samjhe haiN loag
Ashk baari ko bhi naawa shikani kahte haiN
Ahle daanish ke aqaaed ki Khuda khayr karey
Yeh to duniya ke faqeeroN ko Ghani kahte haiN
Iss liye Khuld se Mahir* hai mohabbat humko
Juzve Imaan hai, Hubbul -Watani kahte haiN
Hashr meiN deikhoge qeemat to yaqeeN aaeiga
Ashke khooneeN ko bhi laale Yamani kahte haiN