Zehra ki sada hai maqtal may lut -ta hai bhara ghar wavaila
abbas e ali ke baazu ko kaate hai sitamgar wavaila
dunya ke sitam toote uspar
qasim na rahe aur na akbar
abbas e dilawar na asghar
shabbir akele hai hyder
sarwar ke galay par hai khanjar
ay saaqiye kausar wavaila
waavaila waavaila….
mashkeeza chida aur pani baha
ek aankh teer e zulm laga
behta hai kate shano se kahoo
sar gurz e sitam se chaak hua
aata hai faraz se jaane ali
kyun rakh ke zameen par wavaila
waavaila waavaila….
saahil ke kanare jo pahunchay
toota hai falak sheh ke sar par
thay haath kahin mashkeeza kahin
laasha tha jari ka khoon may tar
laashe pe giray hai bhai ke
shabbir tadap kar wavaila
waavaila waavaila….
doobe hai lahoo may mashk o alam
aaye hai nehr se shahe umam
masnad pe rakhe jab mashk o alam
sar peet-te hai ab ahle haram
barpa hai qayam e sarwar may
ek shorish-e-mehshar wavaila
waavaila waavaila….
momin* ye qayamat hai barpa
hai sar pe buka sab aale aba
sarwar ne kaleja thaam liya
jab aake sakina ne poocha
baba mere ammu darya se
aaye na palat kar wavaila
waavaila waavaila….