Zakhmi Hain Fatima (sa) – Mir Hasan Mir

Mir Hasan Mir

Haaye..
Darr jal chuka hai Yusuf e Zahra kab aaoge?
Zahra sadaein deti hai, Maula kab aaoge?

Al ajal, Al ajal
Al ajal, Al ajal, Al ajal
Allahumma ajjil li waliyikal faraj
Allahumma ajjil li waliyikal faraj

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

Dekar sadaein aapko..(2), leti hai hichkiya’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

1. Pehlu shikasta hogaya jaldi sambhal lo
binte nabi ko aag se aakar nikal lo
Maula tumhari dadi hai..(2), sholo ko darmiya’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

2. Dekha to hoga zulm nigaahe Imam se
beto’n ke saamne kabhi logo ko saamne
khaye nabi ki beti ne durre kaha’n kaha’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

3. Afzal jo buturab hai kul kayenat se
khaiber ko fat-ha jisne kiya apne haath se
woh shere kibriya kaha’n aur rassiya’n kaha’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

4. Madar ka chehra takti hai hasrat se baar baar
Zainab ke saath saath hai kulsoom beqarar
chehre pe neel dekhke..(2), roti hai betiya’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

5. Ek zalzala sa taari tha qabr e rasool par
zalim ne aise haath uthaya Batool par
bikhri zamee’n pe toot ke..(2), Zahra ki baliya’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

6. Kis din zahoor paoge aye ibn e Fatima
batla rahi hai Zahra ki yeh zere darr sada
yasrab mein tumne dekhi hai, zakhmo se choor maa
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

7. Aye waris e rasool qayamat phir aagayi
ghaibat mein tum ho aur, shahadat phir aagayi
aakar suna to do hume..(2), ghurbat ki daasta’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

8. Har dushman e Batool ko tukdo mein baat do
tumko qasam Hussain ki woh haath kaat do
jis haath ka hai bibi ke..(2), rukhsar par nisha’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

9. Ayyam e pursadari e Zahra ka waasta
karte hai Qum mein Meer Takallum ye sab dua
matam kare baqiyya mein..(2), har matami jawa’n
Ya Sahib az Zama’n

Zakhmi hia Fatima, tooti hai pasliya’n
Ya Sahib az Zama’n, Ya Sahib az Zama’n

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *