Zainab yeh bain Kartin thin, Baba ab aaiyea

Noha

Zainab yeh bain kartin thin, Baba ab aaiyea
Teeron par hai Hussain ka laasha, ab aaiyea

Teeron par teer chalte thay Bekas Hussain par
Hilta tha arsh e kibriya Zainab ke bain par
Hai ro tadap ke teer Shah e Mashreqain par
Kya kya guzar gaye mere Bhai Hussain par
Baki nahi hai koi sahara, ab aaiyea
Zainab yeh bain kartin thin, Baba ab aaiyea
Teeron par hai Hussain ka laasha, ab aaiyea

Teeron se chur chur hain maqtal mein Shah e Deen
Haye tapta hua sehra hai aur jalti hui zameen
Dam lene ko maidan mein saaya kahin nahin
Baaloon se jhadti hai Maa jalti hui zameen
Girta hai zein se Laal Tumhara,ab aaiyea
Zainab yeh bain kartin thin, Baba ab aaiyea
Teeron par hai Hussain ka laasha, ab aaiyea

Baarish mein teer o tegh ke sajda ada kiya
Sajde mein sar gareeb ka tan se juda kiya
Aaye sada yeh Zaherra ki, haaye yeh kya kiya
Haye charag e Kaaba e Eeman bhuja diya
Roti hai baithi khaak pe Zaherra, ab aaiyea
Zainab yeh bain kartin thin, Baba ab aaiyea
Teeron par hai Hussain ka laasha, ab aaiyea

Zainab ne jab hata diya parda khayam ka
Dil gham se choor ho gaya Bekas Imaam ka
Naizey par Sar tha haye, Shah e Tashnakaam ka
Manzar nazar mein aa gaya bazaar e Shaam ka
Zainab ko be-ridaye se Baba bachaiyea
Zainab yeh bain kartin thin, Baba ab aaiyea
Teeron par hai Hussain ka laasha, ab aaiyea

Ithe chubhe thay teer Tan e Naazaneen par
Ek sajda bhi mohal tha karna zameen par
Kaise sambhalta Bekas o Laachar zein par
Faryaad ka asar na hua kuch laeen par
Khanjar se mere Bhai ko, Baba bachayea
Zainab yeh bain kartin thin, Baba ab aaiyea
Teeron par hai Hussain ka laasha, ab aaiyea

Seene par zanu rakh ke chada shimr bad-shiyar
Jithe chubhe they teer, huey tan ke aar -paar
Tadpe Hussain khaak pe nikle lahu ki dhaar
Chillayi sar ko peet ke Zainab Jigar Figaar
Mojiznuma hain mojiza ab to di khayea
Zainab yeh bain kartin thin, Baba ab aaiyea
Teeron par hai Hussain ka laasha, ab aaiyea

Reeti ko zalzala tha, gahen mein tha aaftaab
Dooba hua lahu mein tha Zaherra ka Mahataab
Waqt e zawaal dhoop ki shiddat thi behisaab
Dil ghamon se Raza* ho gaya , Zainab ka aab aab
Waqt e madad hai, Yaa Ali tashreef laiyea
Zainab yeh bain kartin thin, Baba ab aaiyea
Teeron par hai Hussain ka laasha, ab aaiyea

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *