Zainab ne kaha Sughra se hum aayen hain Bibi
Ghar bhar ka tere daagh e jigar laayeN hain Bibi
Chudwa ke tere chahne walon se Madina
Ujada hua maidaan basa aayen hain Bibi
Guzren jo sitam hum pe who suno lo toh sunayen
Zaherra ki basaat ko luta aayen hain Bibi
Shaadi hui pardes mein, dekho gi dulhan ko?
Dulha ko magar saath nahin layen hain Bibi
Qasim ko mila bihaya ka joda na kafan tak
Kubra ko toh ransala pinah aayen hain Bibi
Dulha raha maqtal mein, Dulhan qaid e sitam mein
Chauthi hui wah, chale ko yaN aayen hain Bibi
Yeh sach hai ke pardes mein Kubra hui bewa
Hum turbat e Nausha par ro aayen hain Bibi
Kuch gasoon wale ne tumhe bheji hai saughaat
Bharpoor jawani ki tadap layen hain Bibi
Akbar ki jawani par sada ashk bahana
Saughaat tere waaste yeh layeen hain Bibi
Sab Karbobala mein rahen, saath aaya na koi
Beemar Bhateje ko faqat layen hain Bibi
Sarwar nahin Qasim Nahin, Abbas nahi hain
Hum daag bahhatar ke yahan layen hain Bibi
Maare gaye maqtal mein Phupijaan ke pyaare
Hum Aun o Muhommad ko bhi ro aayen hain Bibi
Jhuk jhuk ke yeh kya dekhti ho goad mein sab ki
Asghar ko to maqtal mein sula aayen hai Bibi
Ro ro je jo tum poochti ho haal Bahen ka
Hum Bali Sakeena ko bhi kho aayen hain Bibi
Sughra kahen kis tarah se hum apni kahani
Phatta hai jigar lut ke jo yaN aayen hain Bibi
In waarisoN ke soag mein Hum Karbobala se
Sab kaali rida oodhe hue aayen hain Bibi
Jo Shah ke Haram saath hain hain be wali o waris
Sab shaanoN pe rassi ke nishan laayen hain Bibi
Sughra ne kaha, koi na Mazloom ko roya?
Zaherra ki sada aayi ke hum aayen hain Bibi
Hum aayen hai Shabbir ka khud lene ko pursa
Humraah Ali aur Hasan aayen hain Bini
Zaherra ki sada aaye ke moh dhaak lo Zainab
Purse ko tere bhai ke hum aayeN hain Bibi
Aa jaye na ghash Fatima Sughra ko sambhalo
Purse ke liye ahl e watan aayen hain Bibi