Zainab Ki Sada Thi, Kay Na Tarpao Sakina

Noha

Zainab Ki Sada Thi, Kay Na Tarpao Sakina
Lillaah jahan bhi ho chali aao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Main subho se ta asr tadapti hi rahi hoon
Aa jaao Khuda ke liye Aa jaao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Ya mujhko sada do ke Main leene thume pouchu
Ya khud mere aawaaz par aa jaao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Qasim hain na Akbar hain Na Abbas e Dilawar
Ab kaun thume dhoondne par jaaye Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Raat aa gaye bhooki bhi ho pyaasi bhi meri jaan
Aisa na ho thhak kar kahin so jao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Bibi tumhe raste bhi to maloom nahin hain
Dartin hoon ke sehraa me na kho jaao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Bhaiyya ne thume mere hifazat me diya tha
Bhabi se to maegoob na karwaoo Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Maidan me to be-sar ke hain laashe meri bacchi
Shab mein na unhe dekh ke darr jaao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Main dil -jali bewaoon ko deti hoon tasalli
Tum roote huey bachchon ko bahlao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Bibi tumhe ab Baap ka seena na milenga
Aa kar meri aagosh mein soo jao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Mashad ki ziyarat se musharrab hua Izzat*
Ab Roza-e-Abbas par bulwaoo Sakeena
Zainab Ki Sada Thi, Kay Na Tarpao Sakina
Lillaah jahan bhi ho chali aao Sakina
Zainab Ki Sada Thi …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *