Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi

Maqtal mein soo rahen hain Sab goodiyon ke paale
Ja kar watan mein Bhaiyya, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Akbar ki mere shaadi, kis desh mein rachaiye
Bandga hai kis ne sehra, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Wada kiya tha jisne, lene ko aayn ge hum
Ab tak to woh na aaya, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab do on gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Qasim hamara Bhaye, Ibne Hasan kaha hai
Jo hum ko chacta tha, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Afsoos Aun o Jafar, ab tak na milneaaye
Ab tak na maine dekha, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Asghar Hamara Bhai, ab kiski goad mein hai
Aakhon ka hai jo tara, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Seene pa sone wali, woh laadli kahan hai
Meri bahen Sakeena, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Akbar se aayen ge jab milne ko unke saathi
Qaboo mein dil na ho ga, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Rudaad Karbakla ki, Aake Madine wale
Har eik pata kare ga, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Karbobala se wapas, Ummal bani ka Beta
Abbas kyun na aaya, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya jawaab doon gi
Bazoo ko dekhte hi, pooche gi meri nani
Yeh hai nishaan kaisa, Main kya jawaab doon gi
Zainab ka tha yeh nauha, main kya jawaab doon gi
Poochey gi jab ke Sughra, Main kya ja waab doon gi
Jab dakhila watan mein ho ga Qamar* haram ka
Zainab ka dil kahe ga, Main kya jawaab doon gi