Zainab ka tha yeh nauha, fariyaad ya Muhammad
Ab hum haiN aur aada, fariyaad ya Muhammad
Zainab ka tha yeh nauha, fariyaad ya Muhammad
Woh aap ka nawasaa, sabr o raza ka paikar
Jiske gale ko chuma karte thay Aap aksar
Kaata gala usi kaa, fariyaad ya Muhammad
Zainab ka tha yeh nauha, fariyaad ya Muhammad
Rann aap ke lahoo se rangeen ho gaya hai
Maahol Karbala kaa ghamgeen ho gyaa hai
Mehshar hai runn meiN barpaa, fariyaad ya Muhammad
Zainab ka tha yeh nauha, fariyaad ya Muhammad
Jangal hai teergi hai, dariya hai, tashnagi hai
Bewarisi, yateemi, ghurbat hai, bekasi hai.
De kaun ab sahara, fariyaad ya Muhammad
Zainab ka tha yeh nauha, fariyaad ya Muhammad
Bachcho ko tashnagi mein, kismat ne yeh khabar di
Bazoo kate Jari ke, pyasoN ki aas tooti
Behta hai khun ka dariyaa, fariyaad ya Muhammad
Zainab ka tha yeh nauha, fariyaad ya Muhammad
Qasim ki laash dekhi, bewa Dulhan bhi dekhi
ZakhmoN ke phool dekhe, mehndi laho ki dekhi
Kangana hai ab na sehra, fariyaad ya Muhammad
Zainab ka tha yeh nauha, fariyaad ya Muhammad
Awaaz Fatima ke roone ki hai Munawwar*
Maqtal se jaa rahi hai, Zainab aseer ho kar
Fariyad hai khudaya, fariyaad ya Muhammad
Zainab ka tha yeh nauha, fariyaad ya Muhammad