Zainab Dukhiya karbal ban-ma khadi pukare Beeran ho

Noha

Zainab dukhiya Karbal banma, khadi pukare beeran ho
Sayyad pyase aai Zaehra ke Raj Dulare beeran ho
Zainab dukhiya Karbal banma, khadi pukare beeran ho

Haq ne tera har naaz uthaya, Aake malak ne jhula jhulaya
Haye zamana kaisa aaya, Khoon tera ummat ne bahaya
Deen ki nagri ke deepak, akash ke taare beeran ho
Zainab dukhiya Karbal banma, khadi pukare beeran ho

Qasim ko Akbar ko gawaya, Bhai ko Dilbar ko gawaya
Shashmahe Asghar ko gawaya, Haq k liye sab ghar ko gawaya
Deen e Muhammad ki nayya ka, kewanhaare beeran ho
Zainab dukhiya Karbal banma, khadi pukare beeran ho

Ghar ko jalane bhedi aaye, Bekas Zainab kisko bulaye
Sote haiN sab sar ko kataye, Aake khabar lo aey Majayi
Ghum ki maari Dukhyari ke, tum hi sahare beeran ho
Zainab dukhiya Karbal banma, khadi pukare beeran ho

Dil ki tajalli ghar ka ujala, Pees ke chakki maa ne pala
Din bhi nazar me ho gya kala, Koi nahi ab puchne wala
Jaane Nabi Zaehra Bibi ke, aankho ke taare Beeran ho
Zainab dukhiya Karbal banma, khadi pukare beeran ho

Bali Sakeena ko samjhao, Roothi hoyi ko aakar manao
Raat hui seene pa sulao, Pani kahi se laake pilao
Nanni zabaan me pad gye kaateN, piyas ke maare beeran ho
Zainab dukhiya Karbal banma, khadi pukare beeran ho

Run me Qaraar* ek hashr baapa tha, Karti thiN Zainab jab yeh nala
Haye safar yeh raaz naa aaya, Sath hamara dasht me Chuta
Bhai Hussaina Sayyad bekas, pyaas ka maare beeran ho
Zainab dukhiya Karbal banma, khadi pukare beeran ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *