Yeh zulm naya kaisa ai gardish e dauran hai

Noha

Yeh zulm naya kaisa ai gardish e dauran hai
Hai khushk gala Shah ka aur khanjar e kurran hai
Yeh zulm naya kaisa ai gardish e dauran hai

——————————————————————-

Ada se kaha Shah ne Asghar ki khata kya hai
Paani ise do thoda yeh pyaas se bejaan hai
Yeh zulm naya kaisa ai gardish e dauran hai

——————————————————————-

Khaime mein jo Shah aaye rukhsat ko jo farmaiya
Jaate hain Khudahafiz, Allah nigebaan hai
Yeh zulm naya kaisa ai gardish e dauran hai

——————————————————————-

Aabid ne kaha Baba, Kya hukm mujhe ab hai
Farmaya aseeri hai, Aur Shaam ka zindaan hai
Yeh zulm naya kaisa ai gardish e dauran hai

——————————————————————-

Zainab ne kaha ro kar, kis tarah kadam utthe
Darbar hai hakim ka, aur sar Mera uriyan hai
Yeh zulm naya kaisa ai gardish e dauran hai

——————————————————————-

Pamaal ho sab aada rann mein Sar e Shah ke
Laashe par is hi bais ab gardish e asba hai
Yeh zulm naya kaisa ai gardish e dauran hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *