Yeh Beti KisKi Beti Hai,
Jo Jaltee Zameen Par Laytee Hai
Yeh Dukhtar-e-Shah-eMadina hai,
Aur iska naam Sakina hai
Ek din me ghar veeran hua,
Aur jaane ka samaan hua
Baba ka Sar sajde mein ka ta,
Absoos ke ab koi na raha
Qasim bhi gaye Akbar bhi gaye,
Aur jhoole se Asghar bhi gaye
Aamu bhi naher kanare gaye,
Sab ek ek kar mare gaye
Aise bhi Yateema koi hai,
Ek ek ko din bhar roi hai
Behosh hui jab soi hai,
Aur apni zulfe kholi hain
Yeh sab ko behad pyari thi,
Aamu ki raaj dulari thii
Jab jab woh pareshan hoti thi,
Sene par Baap ke sooti thi
Bacchi kis se faryad kare,
Asbaab luta Khaime bhi jale
Zaalim ne chhene auzeeb,
Kurta Bhi tamache bhi maare
Ab aur shafi rulwaien ge,
Inko to qaidi banaye ge
Yeh dar dar sab ko phirayen ge,
Darbaar me bhi yeh jaayen ge
Phir quaid me kya aalam hoga,
Kab zulm-e-yezedi kam hoga
Dukhiyon ko taaza gham hoga,
Is Bacchi ka maatam hoga