Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Noha

Akbar to kahiN bhool gaye waade ko apne
Is haul meiN be haal hui jaati hai Sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Ya rab na chudaye koi Maa Baap ko aise
Gir padti hai, takrati hai, ghash khaati hi Sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Khat likh ke Bahen Bhai ko, saqqa e Haram ko
YuNh rooti hai behosh hui jaati hai Sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Iraq koi jaye to khat Baba ko dei de
Khat le ke sar e raah thaher jaati hai Sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Ashoor ke din paucha yeh qasid liyea paighaam
Ai Shah e Zaman, Bhai ko bulwati hai Sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

LaashoN ti taraf dekh ke phir Sheh yeh pukare
Kya soote ho, Aadab baja laati hai Sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Qasim ki woh mayyat hai, yeh hai laasha e Akbar
Woh dekh lo in loogoN ko bulwati hai Sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Asghar ki jo yaad aati hai, Jhoole se lipat kar
Tanhiyi meiN dil yaadoN se bahlati hai Sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Nasir* thay yeh hi Bhai ko is khat ke ishare
Bhoole ge na Akbar, yeh qasam khati hai sughra
Yaad aati hai Maa – Baap ki ghabrati hai Sughra

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *