Woh teen din ki pyas, wo tashna labon ki shaam

Noha

Woh teen din ki pyaas, woh tashna-labon ki shaam
Apne gharon se door woh un be-gharon ki shaam

Bewaon ki yateemon ki aur qaidiyon ki shaam
Durron ki taziyano ki aur khanjaron ki shaam
Woh teen din ki pyaas, woh tashna-labon ki shaam

Besaaya aasmaan woh maqtal ki garm reit
Sehra e be-ama may woh khastaton ki shaam
Woh teen din ki pyaas, woh tashna-labon ki shaam

Khaimon ke ird gird woh laashe azizon ke
Aur dashte Karbala may woh un besaron ki shaam
Woh teen din ki pyaas, woh tashna-labon ki shaam

Lejaye kaun inka lahoo bastiyon ki samt
Phaili ye saare Shehr may ab dushmano ki shaam
Woh teen din ki pyaas, woh tashna-labon ki shaam

Asghar tumhari yaad may hum sab hai ashqbaar
Bibi Sakeena dekhiye yeh aansoon ki shaam
Woh teen din ki pyaas, woh tashna-labon ki shaam

Woh gyaarveen ke chaand ki afsurda roshni
Balon se mooh chipaye woh Shehzadiyon ki shaam
Woh teen din ki pyaas, woh tashna-labon ki shaam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *