woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Baharen Baugh e Eeman ai Ali Teri badalot hain
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Teri hamlon ne Saqqa e Haram, dariya ulat daala
Jo paye jaam bhi sharmandigi Teri badalot hai
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Mohammad ki zabaan Khaibar mein yeh tasdeeq karti hai,
Nuzool e aayate Naad e Ali Teri badalot hai
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Jo bach kar bhaag nikle naher se mud-mud ke kahtey they
Ali ke Sher aaj, yeh zindigi Teri badalo t hai
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Ali gyaran Imaamon ko hain Tere noor me jalwe
Nabi ke deen ki Bara-dari Teri badalot hai
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Tawaaf e Khaana e Kaaba na milta woh jo milte hain
Haram e Toor ki jalwagari Teri badalot hai
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Samajhta kaun kaafir hai aur kaun momin hai
woh sar ko kubr bhi Tegh e Ali Teri badalot hai
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Hussain Ibne Ali ai Fatima ke chand kya kahena
Andheri raat me yeh chandni Teri badalot hai
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Bichaye boriya baitha hai tu kab se khilafat par
Shahenshah e Nabi yeh saadgi Teri badalot hai
woh gul sadqa hai Tera, yeh kali Teri badalot hai
Balayen le lay Salik* aa idhar ai ulfat e Haidar
Yeh Jannat aur yeh jaam e Kausari Teri badalot hai