Waseeye Mustafa (SAW) ka mominoN ta’aboot jaata hai

Noha

Waseeye Mustafa (SAW) ka mominoN ta’aboot jaata hai
hAr ek peer o jawaaN iss gham meiN sar par khaak uRaata hai

yateemaan’e Ali roat’e jo haiN sAr peet kar paihAm
to hAr aaNsu ka qatra arsh ko jumbish meiN laata hai

chaley haiN leike taaboot’e padar Shabbir aUr Shabbar
janaab’e Zainab o Kulsum ko ghash pAr ghash aata hai

hai ek shoar’e qayaamat koochao baazar meiN barpaa
Najaf ki simt Kufa se janaaza Shayh ka jaata hai

idhar Hasnain taaboot’e padar par sUrf’e girya haiN
talaatum hai udhar, Dajla ka paani josh khaata hai

hawaaoN par asar hai yeh gham’e fakhr’e SuleimaaN ka
ke hAr jhoNka bagoola ban ke khaak’e dasht uRaata hai

makeen’e khaanaey Ma’abood uTtha aaj duniya se
yeh sannaata hameiN koofa ki masjid ka bataata hai

hai ek sakt’e ka aalam aaj tak eik eik zarr’e par
dar o diwaar’e Kufa se gham’e shayh uMdaa aata hai

Najaf jaane ki hai aey Fikr* hasrat tO bahot lekin
ziyaarat ho mayassar, deikhiye woh din kab aata hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *