uthi hai aaj woh aey mominoN duniya se Masooma
pidar ke ghUm meiN aadaa ne jise roane se bhi roaka
kiye aise Janaabe Sayyada par zulm duniya meiN
rahiN baad’e Nabi pachchanwe din dahr meiN Zahra
samajh kar be_kas o be_bas Nabi ke baad aada ne
kiya baagh’e fidak bhi ghAsb, toaRa ghar ka darwaaza
na be_izn aaya jis ghar meiN Malak, dAr aaey waaN naari
gala baaNdha Ali ka, minnateiN karti rahiN Zahra
kiye thEy yooN wasaaya, Fatima Zahra ne Haider se
ke inn logoN ko meri laash par hargiz na bulwaana
tUm apne haath se ghuslo kafan ya Bulhasan deina
paRhaana khud namaaz aur dafn karna khud mera laasha
na paR jaaey nazar na_mahramoN ki meri mayyet pAr
shab’e taareek meiN taaboot suey qabr le jaana
khata khidmat guzaari meiN hui ho gar koi mujhse
samajh kar apni lauNdi, bahr’e Khaliq afo kar deina
baRi mehnat se chakki pees kar paala hai bachchoN ko
khayaal aey Bul_Hasan rakhna, mere baad inn yaseeroN ka
agar koi khata ho ya Ameer al MomeniN inn se
saza deine se, be_maaN ka samajh kar dAr guzar karna
din aur taareekh o saal aey Fikr* yuN rehlat ka likkha hai
do_shamba, teesri maah’e shashum, sAn giyaarah hijri tha