utha pachcheeswiN maah’e aza ko aah woh aaqa
ke Zainal AabediN jis ne tha duniya mein laqab paaya
thi woh pachchanwe hijri, hua tha hashr yeh barpa
Hisham ibne Malik ke zahr se maare gaEy aaqa
chabaaya surat’e aShdar angootha go ke shaitaaN ne
magar masroof jab bhi ta’ate haq meiN rahe aaqa
kueiN meiN gir paRe Baqer na farq aaya ibaadat meiN
zabaaN se uff na ki, aada ne go be_hadd sitam dhaaya
baneiN jin se ke mAs hoakar jawaaher, aab ke qatre
unheeN haathoN meiN hathkaRyaaN pinhaaeiN, hayf hai aada
kiya tha sAng’e Aswad nasb Hazrat hi ne Kaab’e meiN
laeenoN ne magar phir bhi imam’e waqt kab maana
tha shambe ka din aey Fikr*, aur panjum thi wo ShabaaN ki
wo sAn tey’ees hijri tha huEy thEy aap jab paida