ThiiN ishq e Ali meiN, rasan o daar se baateiN

Noha

ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN
Kya karti ajal, Meesam* e Tammar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Yeh naasir e Shabbir* haiN, peeche na hateiNge
FaujeiN na kareiN, aahani deewar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Har jung meiN talwar to khamosh rahi hai
Khayber* meiN huiiN, Haider* e Karrar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Allah ki marzi ke liye, Shaah e ShaheedaN
Ab kaun kareiga tere deedar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Iss teizi se Abbas* suey Nahr chaley haiN
Karti hai hawa, ghode ki raftaar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Abbas* ka hamla hai ke, hamla hai Ali* ka
Karti hai ajal lashkar e Kuffar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Talwar to Abbas* ka muNh deikh rahi hai
Abbas* bhi karte nahiiN talwar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Zinda hua mar mar ke kai baar Nusairi
Bhoolin na magar Haider* e Karrar se BaateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Chhiti hai zabaan hoti hain sachchaai pa mohreiN
Haider* ki suno, Meesam e Tammar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Jab ibn e Mazahir ne Sujahat ko ubhaara
Abbas ne ki ghaiz mein talwar se baateiN
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Husn e Ali Akbar ka Tassawur hai nazar mein
Khud kahte nahi misr ki bazaar se baaten
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Sar hum ne jhukayen hai sar e tegh khushi se
Aatin hai hame zulm ki talwaa r se baaten
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Kuch to huwi hai Shaam ki bazaar mein suniyea
Lipti hui Zajeer ki deewar se baaten
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Jab rauza e Shabbir qareeb aa gaya Salik*
Dil karne laga saaya e deewar se baaten
ThiiN ishq e Ali* meiN, rasan o daar se baateiN

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *