Thi Yeh Zainab ki Sada Kaisa Zamana Aa gaya

Noha

Thi yeh Zainab ki sada kaisa zamana aa gaya
Hum hain Baba berida kaisa zamana aa gaya

Chhente hai mere sar se chadar e Zaherra laen
Zulm ki hai inteha, kaisa zamana aa gaya

Paalne mein de ke lori, main sulaati thi jise
Uska jhoola bhi jala, kaisa zamana aa gaya

Teer Asghar ke laga, baazo kate Abbas ke
Ai zameen e Karbala, kaisa zamana aa gaya

Biyah ke din aane se pahle hi Akbar mar gaya
Ro ke laila ne kaha, kaisa zamana aa gaya

Tha Nabi ka jo Nawaasa aur Ali ka Laadla
Qatl pyaasa ho gaya, kaisa zamana aa gaya

Deiten hain aada aziyat humko bekas jan kar
Kya nahin Tumko pata, kaisa zamana aa gaya

Nana ki ummat par itne zulm dhayen hain ke bus
Main Karoon kis se gila, kaisa zamana aa gaya

Halq e Shah e Karbala par teen dinki pyaas mein
Shimr ka khanjar chala, kaisa zamana aa gaya

KahtiN thiN Aalam* yeh Binte Fatima sar peet kar
Lut gaya kunba mera, kaisa zamana aa gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *