Thi Karbala mein haq ko zaroorat Hussain ki

Noha

Lagti watan may kaise haaye tabiyat hussain ki

Teeron ki chaon may wo imamat Hussain ki
Ran me sipar bani hai jamaat hussain ki
Thi Karbala mein haq ko zaroorat Hussain ki

Hurr baar baar kehta tha dum todte hue
Jee bhar ke kar saka na mai nusrath Hussain ki
Thi Karbala mein haq ko zaroorat Hussain ki

Daaman chuda sake na Sakina se shaahe deen
Ruqsat ke waqt ghair thi halat Hussain ki
Thi Karbala mein haq ko zaroorat Hussain ki

Maqtal may jab Sakina ne baba ko di sada
Tadpi tadap ke rehgayi maiyat Hussain ki
Thi Karbala mein haq ko zaroorat Hussain ki

Aaya hai tumse qaid my milne sare Hussain
Utho sakina karlo ziyarat Hussain ki
Thi Karbala mein haq ko zaroorat Hussain ki

Umme rabab saaye may baithi na umr bhar
Roti thi yaad karke musibat Hussain ki
Thi Karbala mein haq ko zaroorat Hussain ki

Cheene ga kaun tujhse zamane may jeete ji
Mehshar* tera qalam hai amanat hussain ki
Thi Karbala mein haq ko zaroorat Hussain ki

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *