Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Koi bhi na lauta, Bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Kabhi yeh mera ghar bhi aabaad tha
Sabhi kuch tha achcha bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Bahalti thi Asghar ko bahela ke main
Jhula thi jhoola bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Na koi khabar lene aaya meri
Na khat koi bheja bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Na awaaz koi na aahat koi
Hai ghar jaise sahera bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Juda ho gaye chaand-sooraj mere
Tha ghar mein ujaala bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Tassawur mein soocha woh mere paas hai
Magar main hoon tanaah bohut din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Na taroon se ghar mein hui raushni
Na sooraj hi nikla bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Satati hai mujhko yeh tanhaiyan
Mujhe sab ne chhoda bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Yeh sab jaante hain mai beemar hoon
Magar kaun aaya bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Andherey hamaara muqqadar baney
Na dekha sawera bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Judayi ke gham mein lahoo ban gaya
In aakhon ka dariya bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Kabhi to sab aayen ge iss aas mein
Abhi tak hoon zinda bohat din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Khuda jane waley salaamat rahen
Safar mein hai kunba bohut din huey
Tha Sughra Ka Nala Bohat Din Huey
Suroor* uska khat aaj bhi yaad hai
Bas itna likha tha bohut din huey