teesri maah’e aza ki aai jab aey momeneeN
arsh ko juNmbish hui, hilne laga Carkhe bareeN
choaR kar shahr’e Madina aaey haiN Karb o Bala
raakibe doash’e Payamber, rahmatul-lilaalameeN
iss taraf to khaimaey ahle haram hotEy haiN nasb
chaar soo se aa rahe haiN uss taraf aadaaey deeN
kis kiye yeh ho raha hai Karbala meiN izdehaam
jUng par aamaada haiN kis se yeh afwaaje laeeN
uss se laRne ke liye aadaaey deeN tayyaar haiN
khudd samajhte haiN jise dilband’e Khatmul MursaleeN
Halataa maujood hai Quraan meiN jis ke liye
zeenat’e arsh’e Khuda hai aur Imam al MuttaqeeN
saikRoN khatt bheij kar pahle talab usko kiya
aur aamaada haiN bahr’e qatl ab aadaaey deeN
munharif saara zamaana ho gaya mazloom se
taalibe baiyat imame waqt se haiN mushrekeeN
ghair ki baiyat kare kis tarha Farzand’e Rasool
yeh sitam kaisa hai bolo to sahi aey ahle keeN
kAr dua aey Fikr* haq se phir ziyaarat ho naseeb
dAmm agar nikle to nizd’e rauzaey Sultaan’e deeN